Pages

Tuesday, June 8, 2010

hansi khanakti hovi…

hansi khanakti hovi,

aur bujhi bujhi kushiyan,

hai dosti ki mehaz se,

hai raji hovi ghariyaan,

maza anokha sa hai,

aate jate lamho main,

kitabain ghod main pehli,

hain khoye baaton main,

rafaqaton main khazana,

jo hum ne paya hai,

na dil pe bojh hai koi,

na ghum ka saya hai,

humain ye dhun hai keh khusboo,

ko hum tu dekhain ge,

yaqeen hai keh sitaron,

ko berh ke chu lain ge,

khula ye raaz becharna,

bhi tha baharon ko,

kisi k haath nhi, chu sake sitaron ko,

khabi dareecho main shamain

jo hum jalate hain,

tu geet lehje khiyalon

main ghun ghunate hain

 

Lyrics: Hasan Akber Kamal

No comments:

Post a Comment