Pages

Thursday, June 17, 2010

Poetry

KISI KE YAAD MAY ROTAY NAHEE HUM
HAMAY CHUP CHAAP JALNA A GAYA HAY


GULABOUN KO TUM APNAY PAAS RAKHO
HAMAY KAANTOUN PER CHALNA A GAYA HAY

 

 

ziker na karna

is bar baharon say mera ziker na karna
ghar jao to yaron say mera ziker na karna

woh meri kahani ko galat rang na dedain kahin
afsana nigaron say mera ziker na karna

shayad ye anderay he mujhe raah dikhayen
ab chand sitaron say mera ziker na karna

lay jayengi gehrai main tumko bhi baha kar
darya kay kinaron say mera ziker na karna

woh shakhs milay to ussay her baat batana
tum sirf isharon say mera ziker na karna

 

 

TUM..

Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga
Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga....

 

Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga
Pehchan to ik pal ki thi,mager sadiyon se jaan kar acha laga

 

Meri zindagi ka sarmaya thay mager tum ko lutana acha laga
Meray armanon ka sawan thay mager tum ko barsana acha laga

 

Meri khushiyon ka jahan thay mager tum ko mitana acha laga
Khud ko bhool jana aur tum ko yaad karna acha laga

 

Logon k kehney main aana aur sab kuch bhulana bolo kissey acha laga
Yehi to rasm-e-duniya hai isay nibhana acha laga

No comments:

Post a Comment