Pages

Friday, November 5, 2010

aab koye aye tu kehna kay, musafir tu gaya...

hoo na duniya mein koye hum sa bhi payasa logo
jee mein aati hai kay pee jayain yeh daryaa logo
kitni iss shehar kay sakhiyoon ke suni theen battain
hum jo aye tu kissi nay bhi na poocha logoo
itafaqun'n he sahi, par koiye dar tu khultta
jhilmilaata puss e chilman koyee saaya logo
sab kay sab mast rahay apnay nehaan khanoon mein
koi kuch baat musaafir ke bhi suntta logo

hoon gai iss shehar mein kuch uss ay bhi parhnay wallay
youn tu yeah shakhas bhi mashoor tha khaasa logo
kissi daman, kissi anchal ke hawa tu miltee ?
jab sar e raah yeh wa'manda gira tha logo

aik tasveer the, kaya janiyeah kiss ke tarsveer
naqash e mahoom say aur rung urra sa logo
aik awaaz thi, kaya janiyeah kss kee awaaz
uss nay awaz ka rishta bhi na rakha logoo

kuch pata iss ka hmain ho tu tumhain bat'layain
koun ghar ? koun nagar ? koun mohalla logo
chand harfoon ka mo'amma tha woh uljha suljha
uss nay tu naam bhi poora na bataya logo

haye yeh dard keh mushkal say thama tha dil mein
chaand poonum ka abhi say nikal aya logo

phir wohi dasht, wohi dasht ke tunhai hai
wehshat e dil nay kaheen ka bhi na rakha logo
uss mein himat hai, tu dar aye, utha day yeh hisaar
apnay gunbad mein tu dar hai na dareecha logo
jee ke jee hee mein raheen hasratain tofaanoon ke
yeah safeena tu kinaray pay hee dooba logo

aaj ke daak say kaya koye lafafa aya ?
kaisi sargooshi kartay hoo, aray kaya logo ?
koye payghaam e zubani bhi nahi, kuch bhi nahi
hum nay apnay ko bohat dair sambhala logo

band anhain hoi jaati hain, pisaarain paoon
neend see neend ? humain ab na uthana logo
aik he shab hai, taveel, itni taveel, itni taveel
apnay ayaam mein amrooz na farda logo

aab koye aye tu kehna kay, musafir tu gaya
yeah bhi kehna keh, bhala ab bhi na jata logo
rah tuktay howay pathra see gai theen ankhain
aah bhartay howay chalni howa seena logo
hoont jaltay thai jo layta tha kabhi aap ka naam
iss tarhaan aur kissi ko na saatana logo

No comments:

Post a Comment