Pages

Sunday, December 21, 2014

Status Update

So there were a few things common b/w me and Ashfaq Ahmed Khan:

"‎Ek roz mujhe Khan Sb ne kaha "bhii Kal sham shahab or iffat khanay pr arahe hain, tum koi intezam waigheira kar leina"

Mere chehray pr mehman ki khabar lagtay hi jo khushi phaili hogi Usay dekh kr khan satpata gaye "dekho qudsia kch barha charha kr na krna....shahab aisi baton se ghabra jata hai, hum bawarchi khanay me khana khayain gay. tum poriyan achi bana leti ho bus wohi Theak ha. Alo ki poriyan chanay waigheira... ziyada kch na karna"

"Lekin bawarchi khanay me kiu khan sahab...? hamaray pas tu total 4 dugdugi morhay hain. Ek choti tapai hai, tail ka cholha ha...yahan wo kaisay khana khaian gay?"

Khan sahab me ek bari ziyadti hai. Wo ksi ki khatir na apni zindagi ka pattern na apne maamoolat na hi apne mizaj ka zawiya badalte hain. Wo jis trha baithay hun gay waisay hi mehman se milne chalay jaian gay bulke isay apne pas bulaian gay. Jo kha rahe hun gay is chatni roti mei mehman ko shamil kr lain gay. Jaisa mood hoga is k mutabiq amal krain gay. Inke pass khanay or dekhanay k lye ek hi set Danton ka hai. Daftar, ghusal khanay, bazaar, radio station, television, studio me ashfaq Ahmed girgit ki tarha rang nahi badalte bulke har maqam or jaga pr inka sirf role badalta ha wo khud wohi rehte hain. Agar wo ksi adbi mehfil mei Pakistan ya Islam ki kheir khwahi mei ksi se ulajh jaian tu mei lakh hath bandhon wo apna nazariya kar k rahain gay. Agr wo kitabon wali almari ki janib chehra kar k kitab parhnay me masruf hain or koi mehman ajata hai tu wo bhagam bhag na apni necar jacket badlain gay na hi apna andaz e nashist. Bus Isi andaz me baithay baithay kbhi guftugu k sath, kbhi khamoshi samait mehman k pala gin rahain gay....darasal is andaz ae khan sahab ki Murad yehi hoti hai k mehman mukammal tor pr apne ap ko Ghar ka fard samjhay. baithna chahay tu baithe, bawarchi khanay me kch khana peena chahay tu zahe naseeb....VCR ya television lga kr Chotay khano se gup shup ki khwahish ho tu or bhi acha ha. kothay pr charh kr kabotaron ko dana dal kr razi hota ho tu ksi kisam ki mumaniat nahi. Bahir zawiye mei baith kr ksi se lambay lambay fone kr k khush rahe tu ksi ko aitraz na hoga. Aisi fiza me azad mansh log in se ziada hil jatay hain lekin formal log jinhe drawing room, numaish ki guftugu, saji sajai troliyan, tissue paper, quarter plates, guthnay se guthna jor k baithne ki adat ho, in se ziyada dair razi nahi rehte." - Extract  from Mard Abre Raisham

No comments:

Post a Comment