Pages

Saturday, April 18, 2009

Ghazal

Ankhoon main raha dil main uter key nahi dekha

                           Kashti key musafer ney sumander nahi dekha

Bey waqat ager jaoun ga sab chounk perain gey

                              Eik umar hui din main kabhi ghar nahi dekha

Jis din sey chala hoon, meri manzil pey nazar hai

                            Ankhoon ney kabhi mail ka pather nahi dekha

Yeh phool mujey kohi warasat main miley hain

                           Tum ney mera kantoon bara bister nahi dekha

Yaroon ki mohabaate ka yaqeen ker liya main ney

                     Phooloon main chupaya howa khanjer nahi dekha

Mahboob ka ghar ho ya buzurgoun ki zaminey

                              Jo chore diya  pher usey mur ker nahi dekha

Khat aisa lika hai nageney sey jarey hain

                              In hathoun ney kabhi kohi zewar nahi dekha

Pather mujey kehta hai, mera chahney wala

                Main moom hoon us ney mujey choo ker nahi dekha

Wo merey masayal ko samjh nahi sakta

                     Jis ney meri ankhoon main sumander nahi dekha.

No comments:

Post a Comment