Pages

Saturday, April 18, 2009

peyar ko peyar hi rehney do koi naam na do

Hum ne dekhi hay in aankhoo'n ki mehektii khusboo
haath se choo ke issey rishtoo'n ka ilzam na do
sirf ehsas hay yeh, rooh se mehsoos karo
peyar ko peyar hi rehney do koi naam na do


peyar awaz nahi, peyar koi bol nahi
aik khamoshi hay, sunti hay, kaha kerti hay
na yeh bhujti hay, na rukti hay, na tehri hay kahin
noor ki bond hay sadiyoon se baha kerti hay

 

muskurahat si khili rehti hay aankhoo'n mein kahein
aur palkoo'n pe ujalay se chuppey rehtey hein
hoonth kuch kehtey nahi, kanptey hoontho pe magar
kitney khamosh se afsaney rukey rehtey hein

 

sirf ehsas hay yeh, rooh se mehsoos karo
peyar ko peyar hi rehney do koi naam na do

No comments:

Post a Comment