Friday, March 20, 2009

Comedy Ghazal

chupke chupke rat din uska bartan manjvana yaad hai
humko aab tak kapdey doney ka woh Zamana yaad hai

doppher ki dhoop mein kaprey sukhaney ke liye
woh mera khothey pe bhi nangey paoon jana yaad hai

Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping
woh mera meri biwi se, ATM card chupana yaad hai

saas sasur ki doston ab kya sunao dastaan
sasuraal na janey ka mujhey har ik bhana yaad hai

wakt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai Mujhy
biwi ke pars se car ki chabi churana yaad hai

Jub Kabhi Itifaqan taway pey roti jal janay per
woh mera tere belan se sir phorwana yaad hai

Jub kabhi tuj se teree umar poochnay per who tera duppatay main
Sharmana aur 34 ko 17 bata tey huey muskurana yaaad hai

khinch lena woh tera salary ka lifafa dafataan
aur tera beautyparlor pe woh passey udana yaad hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...