Tuesday, April 14, 2009

Mohabbatein redefined :)

Ek developer tha anjana sa

coding karne se woh darta tha

copy paste karke,

idhar udhar se pooch ke

coding kiya karta tha

 

choree choree chupke chupke

discussions mein soya karta tha

jab delivery honee hotee thee

raat raat bhar jagta tha

kuch aata nahee tha usko..

jane kaise deliver karta tha

 

jabbhee milta tha kisee doosre developer se,

unse poocha karta tha.

coding kaisee hotee hai,

yeh coding kaisee hotee hai?

 

aur voh developers bas yahee kah paate the....... 
ankhe khulee ho ya ho band deedar code ka hota hai...

kaise kahoo mai o yaro yeh code kaise hota hai.....

 

tururururururururu ru ru ru ru ru....

 

kya hai yeh jadoo hai koyee code jo chal jata hai

fix karke bugs hazaro deliver ho jata hai

door kahee onsite per hote

hai yeh sare faisle

kaun jane koyee bug kab kaise kaha mile jiske

naseeb mein ho likha acceptance useeka hota hai..

 

kaise kahoon mai o yara yeh code kaise chalta hai

 

tururururururururu ru                     

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...