Koi to hai jo, nizaam-e-hasti
chala raha hai, wohi khuda hai
Koi to hai jo, nizaam-e-hasti
Chala rahaa hai, wohi khuda hai
Dikhayi bhi jo na de nazar bhi
Jo aa raha hai, wohi khuda hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khuda hai..
Nazar bhi rakhe, samaatein bhi
Woh jaan leta hai, neeatein bhi
Jo khana-e-lashaoor mein jagmaga raha hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khudaa hai, wohi khudaa hai
Talash uss ko, na kar buttoun mein
woh hai badalti hui ruttoun mein
Jo din ko raat aur raat ko din
bana raha hai, wohi khuda hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khudaa hai...
Koi to hai jo, nizaam-e-hasti
chala raha hai, wohi khuda hai
Dikhayi bhi jo na de nazar bhi
Jo aa raha hai, wohi khuda hai
wohi khuda hai, wohi khudaa hai
wohi khuda hai..
From: Muhammad Umair Sami
No comments:
Post a Comment