yeh hai meri kahani
khamosh zindagani
sannata keh raha hai
kyun zulm seh raha hai
ek dastaan purani
tanhayi ki zubani
her zakham khil raha hai
kuch mujh se keh raha hai
chubtay kantay yadoon ke daaman say chunta hoon
girti deewaron ke aanchal mai zinda hoon
bass yeh meri kahani
benishaan nishaani
ek darr beh raha hai
kuch mujh se keh raha hai
bajaye pyaar ki shabnum mere gulistaan mein
baraste rehte hain har simt maut ke saye
siyahiyon se ulajh parti hain meri aankhein
koi nahi .. koi bhi nahi jo batlaye
kitni der ujalon ki raah dekhe
koi nahi hai koi bhi nahi
na pass na durr
yeh pyaar hai
dil ki dharkan
apni chahat ka jo ellan kiye jaati hai
zindagi hai jo jiye jaati hai
khoon k ghoont peay jaati hai
khwaab aankhon se siye jaati hai
ab na koi paas hai
phir bhi ehsaas hai
yahiaon mai uljhi pari
jeene ki ek aas hai
yadoon ka jungle yeh dil
kaanton se jal thal yeh dil
No comments:
Post a Comment