Tumhey jab kabhi milay fursatain meray dil say bojh utar do
Mein bohat dinoo say udaas hoon mujhay koi shaam udhar do
>
>Mujhay apnay roop ki dhoop do Ke Chamak sakein merey khal-o-khad
Mujhay apnay rang mein rang do Merey saray rang utar do
>
>Kisi ur ko meray haal say koi gharz hay na wasta
Main bikhar gaya hoon samait lo Main bigar gaya hoon sanwar do
>
>Tumhein subhu kaisi lagi meri khawahshon kay dayar ki
Jo bhali lagi tu yahin raho isay chahaton say nikhar do
>
>Wahan ghar may kon hay muntazer kay ho fikar dair sawair ki Bari mukhtasir si yeh raat hay isay chandni may guzar do
>
>Koi baat karni hay chand say kisi shakhsaar ki ot mein
Mughay rastay may yahin kahin kisi kunj-e-gul mein utar do
No comments:
Post a Comment