Bae sabab too na theen teri yadain,
teri yadoon say kiya nahi sikha
zabth ka hosala barha lay na
ansoon ko khiin chupa lay na
>kanpati dolti sadaoon ko
>chup ki chaadar say dhanp ker rukhna,
>bae sabab bhi kabhi kabhi hassna
>jub bhi ho baat kabhi thalkhi ki
>mazoo_e_guftagoo badal dayna
>bae sabab too na theen teri yadain
>teri yadoon say kiya nahi sikha!
No comments:
Post a Comment