Tuesday, August 9, 2011

Poetry

Post Type :

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat Usay Bhi Thi,
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat usay Bhi Thi.
.
Mujh Ko Bhi Shauq Tha Naye Chehroon K Deed Ka,
Rasta Badal K Chalne Ki Aadat usay Bhi Thi.
.
Us Raat Dair Tak Who Raha Mahv-e-Guftagu,
Masruf Main Bhi Kam Tha Faraghat Usay Bhi Thi.
.
Sunata Tha Who Bhi Sab Se Puraani Kahaniya,
Taza Rafaqaton Ki Zarorat Usay Bhi Thi.
.
Mujh Se Bichhar K Sheher Main Ghul Mil Gaya Who Shakhs,
Halan K Sheher Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi.
.
Wo Mujh Se Barh K Zabt Ka Aadi Tha, Jee Gaya,
Warna Har Ek Saans Qayamat Usay Bhi Thi.
.
"Kaash" Na Jaan Khud Ko Nakam K Bad-Zauq,
Wo Mana Nahi Par Tujh Se Muhabat Usay Bhi Thi.

From: Billu Badshah


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...