"Musalmano ki hakumat k zawal k baad sirf shehron or qasbon k nam hi na bigray the, bulke Barhampur k kuch dur aftda ilaqon Mei musalmano ki apni halat bhi ibrat nak had tak na-gufta ba thi. Sanglakh pahariyon or khardar jungle Mei ghirra hua ek chota sa gaon tha, jis me musalmano k bees pachis Ghar abad the, inki muashrat, Hinduana asarat Mei is darja doobi hui thi k Romaish Ali, safdar panday, mehmood mehanti, kulsoom devi or per bhadai jese nam rakhne ka riwaj aam tha. Gaon Mei ek nihayat mukhtasir kachi masjid thi, jis k darwazay pr aksar tala para rehta tha, jumairat ki sham ko darwazay k bahir ek matti ka diya jalaya jata tha, kch log naha dhu kar atay the or masjid k talay ko aqeedat se chum kr haftay bhar k lye Apne deeni faraiz se subukdosh ho jatay the.
Har dosre teesray maheenay ek molvi sahab is gaon me akar ek do roz k lye masjid ko abad kr jatay the, is dauran me agar koi sakhs wafat pa gaya hota tu molvi sahab is ki qabar pr ja kar fatiha parhte the, nuzaida bachon k Kaan me azan dete the, koi shadi tay hogyi hoti tu nikah parhwa dete the, bemaron ko taweez likh dete the, or Apne aglay dauray tak janwar zibah karne k lye chand churriyon pr takbeer parh jatay the, is tarha molvi sahab ki barkat se gaon walon ka Deen e Islam k sath ek kacha sa rishta Baray mazboot dhagay k sath bandha rehta tha.
Barham pur ganjum k is gaon ko dekh kr zindagi me pehli bar mere dil me masjid k "mulla" ki azmat ka kuch ehsas paida hua, ek zamane me 'mulla' or 'molvi' k alqab ilm o fazal ki alamat hua krte the, lekin sarkar inglishiya ki amaldari Mei jaisay jaisay hamari taleem or saqafat pr maghrabi iqdar ka rand o roghan charhta gya' Isi raftar se "mulla" or "molvi" ka taqaddus bhi pamal hota gaya, rafta rafta naubat ba ee ja raseed k ye dono tazeemi or takreemi alfaz tazheek o tehqeer ki tarkash k teer ban gaye, darhiyon walay thoth or nakhwanda logo ko mazaq hi mazaq me "mulla" ka laqab milne lga, kalijon, universityon or daftaron Mei coat patloon pehne deeni rujhan rakhne walon ko tanz o tishna k taur pr molve kaha jata tha, masjidon k paish imamo pr jumairat, shabrati, eidi, baqar eidi or fatiha durrod parh kr rotiyan torne walay "Qul Auzoay" mullaon ki phabtiyan kasi janay lgein.
Loo se jhulsi hui garam dopahron me Khas ki tattiyan laga kr pankhon k neechay. Baithne walay ye bhool gaye k muhallay ki masjid Mei zuhur ki azan har roz ain waqt pr Apne ap kis trha hoti hai?
Karkarate huay Jaron me naram garam lihafon me liptay huay ijsam ko is baat pr kabhi hairat na hui k Itni subuh mu andhiray uth kar Fajar ki azan is qadar pabandi se kaun de jata hai?
Din ho ya raat, andhi ho ya taufan, aman ho ya fasad, dor ho ya nazdeek, har zamane Mei shehar, shehar, gali gali, qariya qariya, choti bari, kachi pakki masjidain Isi ek mulla k dam abad thein jo kheirat k tokron pr maddrason Mei para hua tha, or dar badar ki thokrain kha kar Ghar bar se dor kahein Allah k ksi Ghar me sir chupa kar beith raha tha, is ki pusht pr na koi tanzeem thi, na koi fund tha , na koi tehreek thi." - Extract from Shahab Nama
No comments:
Post a Comment