Saturday, February 28, 2009

Aqal, Sharam aur Mohabbat (Urdu)

Aik din aik nami girami hakim sahab kay pass " Aqal " aayee , Hakim sahab nay sawal kya kay tu kon hay aur kahan rehti hay?? to "Aqal " nay jawab diya kay " main Aqal hoon aur insaan kay dimagh main rehti hoon " kuch he dair main hakim sahab kay paas "Sharam " aaye , hakim sahab nay phir swal kya kay tu kon hay aur kahan rehit hay ??, tu "Sharam " nay jawab diya kay " main sharam hoon aur insaan ke aankh main rehti hoon "  thori dair baad hakim kay sahab kay pass "Mohabat" aayee hakim sahab nay us say bhe yahi sawal kya kay tu kon hay aur kahan rehit hay ??to "Mohabbat " nay jawab diya kay " main mohabbat hoon aur insaan kay dil main rehti hoon "  aglay din hakim sahab kay pass "Gussa " aaya , hakim sahab nay poocha tu kon hay aur kahan rehta hay?? to " Gussa" nay jawab diya kay " main gussa hoon aur insaan kay dimagh main rehta hoon " tab hakim sahab chonk ker bolay kay wahan to " Aqal " rehti hay , to gussa bola , "jab main aata hoon tab Aqal chalee jaatee hay "  kuch dair baad "Ishqe majazi"aaya hakim sahab nay phir sawal kya kay tu kon hay aur kahan rehta hay ?? to Ishqe majazi nay jawab diya kay " main ishqe majazi hoon aur insaan kee aankh  main rehta hoon " tab hakim sahab bolay kay wahan to "Sharam "rehti hay to Ishqe majazi bola " jab main aata hoon tab sharam chalee jaatee hay " kuch dair baad "Lalach" aaya , hakim sahab nay poocha tu kon hay aur kahan rehta hay?? to woh bola " main Lalach hoon aur insaan kay dil main rehta hoon " hakim sahab nay kaha kay wahan to" Mohabbat" rehti hay  to lalach nay jawab diya kay "jab main aata hoon tab mohabbat chalee jaatee hay "

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...