Saturday, February 11, 2012

Naat - Likha He Ek Zaifa Thi (Urdu)


TRANSLATION OF THIS NAAT IN ROMAN ENGLISH::
Likha hai Ek zaifa Thi k jo makkah me rehti thi
wo in batoon ko sunti thi magar khamoosh rehti thi
wo sunti thi koi muhammed(SAW) hai hasham gharane me
wo kehta hai khuda bas ek hai saare zamaane mein
wo sunti thi 'hubul ki 'laat' ki tazleel karta hai
wo apne haq k paimane ki youn tameel karta hai
wo sunti thi jo uske saath hai wo hai ghulaam uska
musalman ho hi jaata hai jo sunta hai kalaam uska
likha hai wo zaifa ek din kaba mein ja pahunchi
hubul ke paaon par sar rakh ke usne ye dua mangi
mein tujhko pooojti hoon aur khuda bhi tujhko kehti hoon
bada afsos hai aaj kal mein ranj sehti hoon
wo gham ye hai muhammed(SAW) hai koi hasham gharane mein
wo kehta hai khuda bas ek hai saare zamane mein
mita do uski hasti ko mile tumko inaam uska
jigar chalni hoa jata hai sun sunkar kalaam uska
dua kar k uthi sajde se aur wo apne ghar aayi
samjhti thi ye dil me ab meri ummeed bar aayi
zaifa ko khushi thi ab hubul bijli gira dega
muhammed(SAW) to muhammed(SAW) sathiyon ko bhi mita dega
magar kuch din guzarne par na jab ummed bar aayi
dua kar ke hubul se apne dil me khoob pachtai
gharaz tarkeeb usne soch li ye khud hi ghar aa kar
k chodongi ye basti mein rahongi aur kaheen ja kar
gharaz ek din subah ko usne apne ek gathri li
nikal ke apne ghar se aur darwaze par aa baithi
zaifa sochti thi ab koi mazdoor milta hai
usko kya khabar rhi ke khuda ka rasool milta hai
fariza subeh ka karke sarkare do aalam
chale jate the kaba ki taraf wo rehmat e aalam
Ujalo mein aap to shams o khamar maloom hote the
paye tasleem sajde mein shajar maloom hote the
zaifa muntazir mazdoor ki baithi thi ghabrai
yaka yak samne se chand si surat nazar aayi
zaifa ne kaha, "baita yahan aana bata kya naam hai tera."
kaha, "mazdoor hoon amman bata kya kaam hai tera."
kaha, "mazdoor hai gar to chal gathri meri lekar,
mein khush kardongi aye mazdoor mazdoori teri dekar."
ye sunkar aapne gathri utha kar apne sar par li
zaifonki madad karna ye aadat thi paighambar(Prophet) ki
gharaz gathri ko lekar manzil e maqsood par aayi
kaha dil se ke aye dil ab teri ummed bar aayi
kaha, "beta jo thi dil me tamanna ho gayi puri
muhammed(SAW) to MUHAMMED(SAW) saathiyon se hi duri."
lagi dene jo mazdoori zaifa aapko us dam
to farmane lage us dam huzur e sarware aalam,
"ye koi kaam hai amman mein lon ab jiski mazdoori.
koi aur qidmat hai ti wo bhi mein karon puri."
ye farmate hoye ki aapne jane ki tayyari
zaifa se ijazat chahte the rehmat e baari
zaifa ne kaha, "baita zara thairo chale jana.
mujhe ek baat kehni hai zara sunkar chale jana.
yaqeen jano ke ab makkah mein jhagda hone wala hai.
mein samjhati hoon tujhko isliye to bhola bhala hai.
wo makkah mein khabeela hashmi naam o laqab wale.
wahi beta jo hain sardar abdul mutallib wale.
unheen mein ek jawan hain jo suna jata hai saher hai.
ke is fan mein magar beta wo apne khoob maheer hai.
wo sar hota hai jiske dil mein ulfat boo ke rehta hai.
jo sunta hai kalaam uska wo uska h ke rehta hai.
hamesha bach ke chalne usse bole koi naam uska.
nasihat hai yahi meri na sunna tu kalaam uska."
nabi budhiya ke dil mein wahdat bharne wale the
nasihat sun rahe the jo nasihat karne wale the
zaifa ne kaha, "baita bhala kya naam hai tera?
tera aaghaz kya hai aur kya anjaam hai tera?
kaha hazrat ne budhiya se, "tujhe kya naam batlaaon!
mein kya kaam batlaon mein kya anjaam batlaon!
mein banda hoon khuda ka aur mein rasool uska hoon.
kaha gardan jhuka kar aapne mein hi mohammed(SAW) hoon.
mein hoon masoom duniya mein mera dushman zamana hai.
khuda wahid hai aalam mein mujhe bas ye batana hai.
ye sunna tha ke bas aankhon se aansu ho gaye jaari
nabi ke ishq ki ek chot(ZAKHM) se dil par lagi kaari
zaifa ne kaha, "beta karo mushkil meri aasaan,
mein aisi the cheez ke sadqe mein aisi haar ki qurbaan."
hua phir haal bar uske jo fazle zeedni pai
zaifa ki zubaan se khud bakhud hua kalma jari... ___la ilaha illal-lah. Muhammedur rasoolullah____

From: Umair Sami

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...